Akhir Hum Kab Jagein Gey?

Hum kis haq se shikwa kartey hain!!! Hamarey hukmaran aur awam dono corrupt hain, munafiqat sirf yeh hai ke hum chotey chor ko chor aur barey chor ko bara admi kehtey hain. Is qaum ka almiya yeh hai keh 99% log kisi na kisi tareeqey sey haq talfi, chori ya qanoon torney mein mulawis hain. Koi tax ki chori karta hai, koi bijli ki chori, koi gas ki chori karta hai, aur mazey ki baat yeh hai ke fakhar se usey apna haq batatey hain, Industrialist tax chori ko maa ke doodh se tashbeeh deta hai aur be hayai se kehta hai ke mein agar chori na karun to nuqsaan mein jaon ga, rishwat na dun to cost effective nahi rahonga. Police wala kehta hai jaiz tankhwa mein guzara nahi hota aur agar agey paisey na puhnchaon to promotion nahin hogi, fruit wala, kiryaney wala naap tol mein chori karta hai, darzi kaprey mein chori karta hai. Naukar kam aur paison mein hera pheri karney ko apna haq samajhta hai. Jisey kisi kam ke liye rakha jaye who usey imaandari se anjam nahi deta aur phir bhi daawa hai keh woh diyanat daar hai. Log ibadatan sisyatdanon ko army ko afsar shahi ko galiyan dete nazar atey hain magar koi apney girebaan mein jhankne ki zehmat nahi karta. Lottery/game of chance (jo ke haraam hai) se Hajj ke liye lottery ke zarye naam nikaley jatey hain, umrah karne ke liye rishwat ke baghair visa nahi milta jab ke umrah visa free hai aur phir hum umeed kartey hain ke Allah swt hamari duaein Qubool Farmaye Ga. Jis qaum ka aurhna bichona haraam ka ho woh daawa e hub e Rasool (S.A.W) karti hai. Uryani aur be hayai bechtey hain aur kehte hain “yeh to trend hai”. Bank ke naam par sood (interest/ususry) ka karobar garam hai jab keh Allah Swt ne sakhti se is se mana Farmaya hai. Har gali muhalley mein yeh sood ke karkhaney maujud hain, kisi dil jaley ne ek bar mujh se kaha tha “gali gali bank khulney se bethar hai ke kothey khul jain”.

Moulvi namaz parhaney se ziada apne lecture mein is baat par dehan deta hai keh logon ko dara kar ya unko naa ehl qaraar dilwa kar apney halway mandey ka bandobast karey. Dua karani hai to moulvi sahib ko bulwao aur mithai do, koi mar gaya hai to us ke liye fatheha moulvi sb kareingey, kion bhai kia Allah sirf moulvi sahib ka hai ya hum Allah ke ehkamat se bari u zimma hain? Hum se pichli qomon par sirf ek ijtamai gunah par shadeed azab agaye aur hum woh tamaam buraiyan apne andar sukoon se le kar bethey hain. Allah swt ne Karam Farma ka hamari rassi dheeli chori hui hai ke shayad hum insaan ban jain aur tauba karlein lekin befikri ka aalam yeh hai ke hum maut ko bhool bethey hain aur shayad tauba karney ke liye maghrib se sooraj nikalney ka intezar kar rahey hain.

Sach yeh hai ke har shaks apni apni danist mein be imaan aur chor hai, koi chota chor koi bara chor, phir hukmaranon se kis baat ka shikwa hai. Mein yeh nahi kehta ke ahle iqtedaar bari u zimma hain lekin jaisi rooh waisy farishtey. In aamaal ki wajha se hum azaab e Ilahi ko apni taraf zabardasti bula rahey hain jisey us ki Rehmat ne rokey rakha hai, har jurm ke bad jurm hur gunah par gunah aur phir daawa hai munafiqat keh hamari to qismat hi kharab hai jo aisey hukmaran miley huey hain. Sochney ki zaroorat hai keh hum par jo haalat arahey hain un ke hum ijtamai taur par zimmedar hain. Akhir hum kab jagein gey?

Leave a comment